
Cricket
Bhuvneshwar Kumar Ka Comeback Kaisa Raha?
Aakash Chopra ne kaha ki Bhuvneshwar Kumar ka comeback kuch khaas nahi raha. Uski length thodi chhoti thi aur speed bhi impressive nahi thi. IPL mein chala, par yahan kyun nahi? Sirf ek wicket liya, average 180 aur economy 11.25! Agla series Sri Lanka ke against hai, par Chopra kehte hain ki Bhuvi ka selection mushkil hai. Team ne usko chaar T20Is mein khelaya, ek mein rest diya, phir wapas bulaya. Samajh nahi aata yeh kya chakkar hai!

